Botal khuli he raks me jaam e sharab hai

Raat he mahtaab he saqi sara mosam sharab he saqi
Baaz lamhaat aise hote hain jin me pina sawab he saqi

Botal khuli he raks me jaam-e-sharab he
Wo tu khaliq he banda parwar he
Sari dunya ka Rab-e-Akbar he
Mera sarmaya-e-hayat na puch
Ek saqi he ek saagar he

Chashm-e-saqi se talab ker ka gulabi doray
Dil k zakhmo ko kahin beth ka si leta ho

Sagar-e-mae tu bari cheez he ek naimat he
Ashk b ankh me bhar aye tu p leta ho

Ae mae kasho tumhari dua kamyab he
Aise haseen waqt me pina sawab he

Saqi he chaand b he chaman he shabab he
Taskeen k saman tu mil jate hain
Kuch sahib e emaan tu mil jate hain
Saqi ye dua he tera iqbal buland
Mae khanay me insan tu mil jate hain

Honto se lagata ho tu muskati he
Taskeen her andaz se puhnchati he
Mae is liye he mujh ko haseeno se aziz
Asani se sheeshay me utar jati he

Charagh dil ka jalao buht udaas he raat
Khushi ka jashan manao buht udaas he raat
Asar ghumo ka na par jaye mae kashi pe meri
Pilao or pilao buht udaas he raat

Meri nazar ko jano ka payaam de saqi
Meri hayaat ko laafani shaam de saqi
Yeh roz roz ka jina mujhe pasand ni
Kabi na hosh me aao wo jaam de saqi

Ek zara hosh me aao tu koi baat karo
Dil ki dharkan ko sambhalo tu koi baat karo
Saqiya baat b kerne ki abi taab ni
Jaam honto se laga lo tu koi baat karo

Lehra k jhoom jhoom k la muskura k la
Phoolo k ras me chaand ki kirnain mila k la
Kehte hain k umar-e-rafta kbi lotti ni
Ja mae kaday se meri jawani utha k la

Her ghum ko dil awaiz kye deta ho
Ehsaas ki loo taiz kye deta ho
Tu zulf ko kuch or pareshaan ker de
Me jaam ko lab raiz kye deta ho

Kyun mae kaday me shaikh ji bante ho parsa
Nazren bata rahi hain k niyat kharab he
Jis se kya tha pyaar usi ne dye hain ghum
Sach puchye tu dil ka lagana azaab he

Pehlo me he raqib tumhare Khuda ki shaan
Kanta b he wahi pe jahan pe gulaab he
Kehte hain jaam bhar k wo kesi adaa k sath
pe lo humare hath se pina sawab he

Saagar he mae he door he abar e bahar he

Ae zahida tu sharab pe le na ker tu kuch ijtanab p le
Me teri mano namaz parh lo tu meri maan ab sharab p le

Adam p le Khuda ko maan pe le bari kafir ghata chayi huwi he

Me ne mana sharab pita ho ba Khuda be hisaab pita ho
Log logon ka khoon pite hain me tu phir b sharab pita ho
Zindagi ka azaab pita ho ban k khana kharab pita ho
Roz-e-mehshar hisaab ho na sake is liye be hisaab pita ho

Le k saagar me aftaab piyen ye samaj ker k he sawab piyen
Kufar he naimato ka thukrana shaikh ji aaiye sharab piyen

Zahid mujhe jannat ka talabgar na ker jo bs me tere ni wo ikrar na ker
O rindiyun pasti ni tera maslik saqi k tabarruk se tu inkaar na ker

Chaak e dil e sadqara ko si lo si lo
Kuch der tu be khudi me ji lo ji lo
Kyun Hazrat e zahid he takammul itna
Are mae khanay ki khairat he pe lo pe lo

Kis tarah ho gi bakhshish tumhari josh aye ga kese Khuda ko
Us ki rehmat pe ker k bharosa kufar he is gunah ka na kerna

Pe lo humare hath se pina sawab he
Rodad e hijr chehray pe tehrir he fana
Parh lijye khuli huwi dil ki kitab he

Botal khuli he raks me jaam e sharab he..!!
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post