Dard rukhta nahi ek pal

Dard rukhta nahi ek pal bhi
Ishq ki yeh saza mil rahi he
Mout se pehle hi mar gaye hum
Choot nazro ki aisi lagi hai

Un say assi lagi hai
Teri ro ro k katti he nain piya
sawan ki kali raato me
Jab bonda bandi hoti hai
Jab sibki neend me sota hai

Aur girha humari roti hai
Bari ro k katti he nain piya
Jab se laage tum sang nain piya
Lagay nahi chootay rama chahay jiya jaya

Pathar ko bhi kato tu wo kat sakta hai
Katte nahi katti shab-e-furqat meri
Ankh jab se lari meri unki zindagi ho gayi meri unki
Wo hi jo bethe hain mehfil me sir jhukaye huwe

Saaiyaan gaye qatwal ab dar kahe ka
Kalma pe wari thari pukaro Ahmad humro chailo ho
Bal bal jaon ankahin sakhiri Haider ja k girna ho
Ja k lalla Husnain pyare sees pe jin ka saya ho

Waikhi jawin Fatima zahra sadqay un pe jiyara ho
Aise piya ki ungli paker ker le chal re bajarya ho
Puchen lage najar ka luqwa e tahra e tumhra ho
Laaj ki mari keh na sako me e lago more saaiyan ho

me tu turaab ho mohay dar kahe ka
preet kare ka me choori kari re

Mout se pehle hi mar gaye hum
Choot nazro ki aisi lagi hai

Bewafa itna ehsaan ker de
Kam se kam ishq ki laaj rakh le
Dou qadam chal k kandha tu da da
Tere aashiq ki maiyyat uthi he

Dou qadam chal chal k kandha tu da da

Rasm-e-duniya bhi hai
Mouka Bhi hai Dastoor Bhi hai

Dou qadam chal chal k kandha tu da da

Marne wale tu apni jaan se gaye
Apki bewafaiyan na gayi

Dou qadam chal chal k kandha tu da da

Bimaar kaa dam toot chuka
Utth chuki maiyyat ab tu kandha tu da da

Dou qadam chal chal k kandha tu da da

Raat katti he gin gin k taray
Neend aati ni ek pal bhi
Ankh lagti ni ab humari
Ankh us but se aisi lagi he

Taro ka go shumaar me aana muhaal he
Lekin kisi ko neend na aye tu kya kare
Tumhare waday ki aisi katti he bhaari raat
Kay intezaar me taray ginay hain sari raat

Sitaro meri raato k saharo
Mohabbat ki chamakti yaadgaro
Na jane mujh ko neend aye na aye
Tum hi aram ker lo be kararo

Kisi ki shab-e-wasal sote katte hai
Kisi ki shab-e-hijar rote katte hai
Elahi humari ye shab kesi shab hai
Na sote katte he na rote katte he

Is qadar mere dil ko nichora
Ek qatra lahoo ka na chora
Jagmagati he jo unki khalwat
Wo mere khoon ki roshni he

Larkhrata huwa jab bhi nazaan
Unki rangeen mehfil me puhncha
Dekh ker mujh ko logo se bole
Yeh wohi bewafa aadmi hai

Dard rukhta nahi ek pal bhi
Ishq ki yeh saza mil rahi he...!!
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post