Yeh Jo Halka Halka Saroor Hai, Yeh Teri Nazar Ka Kasoor Hai

Saqi Ki Har Nigah Peh Bal Kha Ke Pee Gaya 
Lehroon Say Khailta Hoa Lehra Ke Pee Gaya
Ey Rehmat-e-Tamaam Meri Har Khata Muaf
Mein Intiha-e-Shouq Mein Ghabra Ke Pee Gaya
Peta Baghair Izm Yeah Kab Thi Meri Majaal
Dar Pardah Chashm-e-Yaar Ki Shai Pa Ke Pee Gaya
Yeh Jo Halka Halka Saroor Hai, Yeh Teri Nazar Ka Kasoor Hai
Paas Rehta Hai Duur Rehta Hai, Koi Dil Mein Zaroor Rehta Hai
Jab Say Dekha Hai Unki Aankhon Ko,Halka Halka Suroor Rehta Hai

Aise Rehte Hein Woh Mere Dil Mein, Jaise Zulmat Mein Noor Rehta Hai
Ub Adam Ka Yeh Haal Hai Har Waqt, Mast Rehta Hai Chuur Rehta Hai
Yeah Joh Halka Halka Saroor Hai, Yeah Teri Nazar Ka Qasoor Hai

Yeah Joh Halka Halka Saroor Hai
Yeah Teri Nazar Ka Qasoor Hai
Ke Sharaab Peena Sikha Diya
Tere Pyar Ne, Teri Chaah Ne
Teri Behki Behki Nigaah Ne
Mujhe Ik Sharabi Bana Diya

Sharab Kaisi , Khumaar Kaisa
Yeh Sub Tumhari Nawazishein Hein
Pilai Hai Kis Nazar Say Tu Ne
Ke Mujhko Apni Khabar Nahi Hai
Teri Behki Behki Nigah Nai
Mujhe Ik Sharabi Bana Dia

Sara Jahan Must, Jahan Ka Nizam  Must
Din Must, Raat Must, Saher Must, Shaam Must
Khum Must, Sheesha Must, Sabu Must, Jaam Must
Hai Teri Chashm-e-Must Say Her Khaas-o-Aam  Must

Yoon To Saqi Her Tarah Ki Tere Mae'Khane Mein Hai
Wo Bhi Thori Si Jo In Aankhon Ke Paimane Mein Hai
Sub Samajhta Hoon Teri Ishwa-Kari  Hai Saqi
Kaam Karti Hai Nazar Naam Hai Paimane Ka.. Bus!
Teri Behki Behki Nigah Nai
Mujhe Ik Sharabi Bana Diya

Tera Pyar Hai Meri Zindagi
Tera Yad Hai Meri Bandagi
Tera Pyar Hai Bas Meri Zindagi
Tera Pyar Hai Bas Meri Zindagi

Na Namaz Aati Hai Mujhko, Na Wazoo Aata Hai
Sajda Kar Leta Hoon, Jab Saamne Tu Aata Hai
Bus Meri Zindagi Tera Pyar Hai....

Mai Azal Say Banda-e-Ishq Hoon, Mujhe Zohd-o-Kufr Ka Gham Nahin
Mere Sir Ko Dar Tera Mil Gaya, Mujhe Ab Talash-e-Haram Nahi
Meri Bandagi Hai Wo Bandagi, Jo Ba-Qaid-e-Dair-o-Haram  Nahi
Mera Ik Nazar Tumhein Dekhna, Ba-Khuda Namaz Se Kam Nahi
Bus Meri Zindagi Tera Pyar Hai...
Bus Meri Zindagi Tera Pyar Hai...

Tera Naam Loon Zubaan Say, Tere Aagay Sir Jhuka Doon
Mera Ishq Keh Raha Hai, Mein Tujhe Khuda Bana Loon
Tera Naam Mere Lub Per, Mera Tazkara Hai Dar Dar
Mujhay Bhool Ja'ay Dunya, Mein Agar Tujhe Bhula Doon
Mere Dil Mein Bus Rahe Hein, Tere Bepanah Jalwe
Na Ho Jiss Mein Noor Tera, Woh Charagh Hi Bujha Doon

Teri Dillagi Kay Saadka Teri Saag Tulmaa
Mera Ghum Pa Hasna Wala Tujha Kon Se Dua Doon

Qayaamat Main Teraa Daagh-e-Muhabbat Lekar Outhungaa
Teri Tasver Us dam bhi Kaleje Se Lagi Hogii Kyun Ka
Tera Pyar Hai Meri Zindagi
Tera Yad Hai Meri Bandagi
Jo Teri Khushi, Wo Meri Khushii
Ye Mera Junoon Kaa Hai Mo’jizaa
Jahaan Apne Sir Ko Jhukaa Diyaa
Wahan Maine Kaaba Banaa Diyaa

Mere Baad Kisko Satao Gay
Main On Ka Samna Awal tu Khanjar Rakh Diya
Phir Kalaja Rakh Diya Dil Rakh Diya Sir Rakh Diya
Aur Arazz Kiya Mere Baad Kisko Satao Gay

Dil-Jalon Say Dillagi Achi Nahi
Rone Walon Se Hansie Achi Nahi
Dillagi He Dillagi Main Dil Gayaa
Dil Lagana Ka Nateja Mil Gayaa
Tum Kyun Hasta Ho Tumha Kya Mil Gaya
Main Tu Rota Hon Ka Mera Dil Gaya

Acha Phir Mere Baad Kisko Satao Gay
Mere Baad Kisko Satao Gay

Jo Pucha Ke Kis Tarah Hoti Hai Baarish, Jabeen Se Paseene Ki Boondein Gira Deen
Jo Pucha Ke Kis Tarah Girti Hai Bijli, Nigahein Milaein Mila Kar Jhuka Deen
Jo Pucha Shab-o-Roz Milte Hain Kaise, To Chehre Pe Apne Wo Zulfein Hata Deen
Jo Pucha Ke Naghmon Mein Jaadu Hai Kaisa, To Meethe Takallum Mein Baatein Suna Deein
Jo Apni Tamanaon Ka Haal Poocha, To Jalti Howi Chund Shamein Bujha Deein

Main Kehta Reh Gaya Khata-E-Mohabbat Ki Achi Saza Di
Mere Dil Ki Dunya Bana Kar Mita Di, Acha!
Mere Baad Kisko Satao Gay
Mujhe Kis Tarah Se Mitao Gay
Kahan Ja Ke Teer Chalao Gay

Meri Dosti Ki Balaein Lo, Mujhe Haath Utha Kar Duaein Do, Tumhein Ek Qatil Bana Diya
Mujhe Daikho Khuwahish-e-Jan-e-Jaan, Main Wohi Hoon Anwar-e-Nim Jaan

Tumhain Itna Hosh Tha Jub Kahan, Na Chalao Is Tarah Tum Zaban
Karo Mera Shukriya Meherban, Tumhein Baat Karna Sikha Diya...

Yeh Jo Halka Halka Saroor Hai, Yeh Teri Nazar Ka Kasoor Hai
Kay Sharab Peena Sikha Diya

1 Comments

  1. hello
    do you have the song "Ni maye mainu khahriyan de naal na tor" by ustad ji.

    ReplyDelete
Post a Comment
Previous Post Next Post