Dyar E Ishq Mein

Dyar E Ishq Mein
(In the realm of love)


Hamiki Ne Musalmani Khudi Ki
Kalimi Ramz E Pinhani Khudi Ki
Tujhe Gul Fakr O Shahi Ka Bata Doon
Ghareebi Mein Nigehbani Khudhi Ki

Dyar E Ishq Mein Apna Maqaam Paida Ker

Na Tu Zameen Ke Liyeh Hai Na Aasman Ke Liyeh
Jahan Hai Tere Liyeh, Tu Nahi Jahan Ke Liyeh

Daikh... Apna Maqaam Paida Ker

Khudhi Ko Ker Buland Itna Ke Her Taqdeer Se Pehle
Khuda Bande Se Khud Pochay Bata Teri Raza Kya Hai

...Apna Maqaam Paida Ker

Raga

...Apna Maqaam Paida Ker

Yeh Hikmat E Malkooti Yeh Ilm E Laa-Hoti
Haram Ke Dard Ka Darmaan Nahi To Kuch Bhi Nahi
Yeh Zikr E Neem Shabi Yeh Buraak Beyasu
Teri Khudhi Ke Nigehbaan Nahi To Kuch Bhi Nahi

Khirad Ne Keh Bhi Diya La Ilah To Kya Haasil
Dil-O-Nigaah Musalmaan Nahi To Kuch Bhi Nahi

Daikh... Apna Maqaam Paida Ker

Zindagani Hai Sadaf Qatra E Nesa Hai Khudhi
Woh Sadaf Kya Ke Jo Qatre Ko Gohar Ker Na Sakay
Ho Agar Khudnigar O Khudgar O Khudgeer Khudi
Yeh Bhi Mumkin Hai Ke Tu Mout Se Bhi Mar Na Sakay

Per Pehle ...Apna Maqaam Paida Ker

Phir Charagh E Lala Se Roshan Hoay Koh O Taman
Mujh Ko Phir Naghmon Pe Yuksanay Laga Mugh E Chaman
Apne Mun Mein Doob Ker Paya Suragh E Zindagi
Tu Agar Mera Nahi Banta Na Bun... Apna To Bun

Mun Ki Dunya Mun Ki Dunya Sooz O Masti Jazb O Shouq
Tan Ki Dunya Tun Ki Dunya Sood O Sauda Makr O Fun
Mun Ki Doulat Haath Aati Hai To Phir Jaati Nahi
Tan Ki Daulat Chaaon Hai Aata Hai Dhan Jata Hai Dhan

Mun Ki Dunya Mein Na Paya Mein Ne Afrangi Ka Raaj
Mun Ki Dunya Mein Na Dekhe Mein Ne Shaikh O Brahman
Paani Paani Ker Gayi Mujh Ko Qalandar Ki Yeh Baat
Tu Jhuka Jab Ghair Ke Agay Na Mun Tera Na Tan

Bus ...Apna Maqaam Paida Ker

Dyar E Ishq Mein Apna Maqaam Paida Ker
Naya Zamana Naye Subh O Shaam Paida Ker
Khuda Agar Dil-E-Fitrat Shinaas De Tujhko
Sukoot-E-Laalaa-O-Gul Se Kalaam Paida Kar

Uthana Sheesha Garan-E-Farang Ke Saath
Safal-E-Paak Se (P?)Meena-O-Jaam Paida Ker
Mera Tareek Ameeri Nahi Faqeeri Hai
Khudi Na Baich Gareebi Mein Naam Paida Kar

Dyar E Ishq Mein Apna Maqaam Paida Ker...

Dhyahar-Eh-Ishq Meh (The Realm of Love)
8:26
Shahbazz
1991

Ki Haqq se farishton ne Iqbal ki ghammaazi
gustaakh hai karta hai fitrat ki hinabandi

Khaki hai magar iske andaaz hai aflaki
Roomi hai na shaami hai kaashi na samarkandi

Sikhlaayi farishton ko aadam ki tarap isne
Aadam ko sikhaata hai aadaab-e-Khuda'wandi

Dayaar-e-ishq mein apna maqaam paida kar
Nayaa zamaana naye subah shaam paida kar

Khuda agar dil-e-fitrat shanaas de tujhko
Sukoot-e-lala-o-gul se kalaam paida kar

Mera tareek ameeri nahi fakeeri hai
Khudi na baich, gareebi mein naam paida kar


(The angels began to speak behind Iqbal

'This creation of clay is of heavenly nature
He taught the angels the restlessness of Man
And taught Man the mastery of angels...'

Set your own standard on the soil of love!

Neither are you for the earth or the skies
This world is for you, not that you are made for it

There are worlds beyond the stars that are seen
The trials of Love are still to be seen

Create a new world,
Create a new morn and evening!

Set your own standard on the soil of love!)

Create a place for thyself in the world of love;
Create a new age, new days, and new nights.

If God grant thee an eye for nature’s beauty,
Converse with the silence of flowers; respond to their love.

Do not be beholden to the West’s artisans,
Seek thy sustenance in what thy land affords.

My ghazal is the essence of my life-blood,
Create thy elixir of life out ‘of this essence.

My way of life is poverty, not the pursuit of wealth;
Barter not thy Selfhood; win a name in adversity.
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post