Her chehray me ati he nazar yaar ki soorat

Ehbab ki soorat ho k agyaar ki soorat
Her chehray me ati he nazar yaar ki soorat

Uthta huwa hasti ka parda nazar ata he
Ab jalwa haqiqat me jalwa nazar ata he

Her qatray me darya ki mojen nazar ati hain
Her banday ki soorat me mola nazar ata he

Is soorat e zahid k naqshay ko mita pehle
Phir dekh tujhe muj me kya kya nazar ata he q k

Jaag uthtay ho us k jalwo ki farawani
Hum dekh ni sakte itna nazar ata he bs

Us k rukh e roshan ko jis roz se dekha he
Khursheed b begum ko zarra nazar ata he

Her sooart wich aawe yaar
Ker ker naaz ada lakh waar

Ik ja us yaar dikha we
Ik ja aashiq ban ban aawe

Her mazhar wich aap samawe
Apna ap kre deedar

Kadi yaha na hukum chala we
Kadi gada miskin sara we

Us da bhed koi na pawe
Sb bad mast phiran sirshar

Ehbab ki soorat ho k ab yaar ki soorat
Her chehray me ati he nazar yaar ki soorat

Jis ankh ne dekha tujhe us ankh ko dekho
He is k siwa kya tere deedar ki soorat

Pehchan liya tujh ko
Teri sheesha gari se

Nazro se neha q rehte ho
Jab jaan liya pehchan liya

Mansha e hijab akhir kya he
Jab ka tujhe pehchan liya

Tu hi tu na doja koi
Per gat bayan Mohammad ho

Bulbul ne jamal e yaar gul me dekha
Aur bada kasho ne jaem e ull me dekha

Ankhen apni talab he apni
Hum ne tu tujhe juz ve kul me dekha

Pehchan liya tujh kop teri sheesha gari se
Ati he nazar fun se hi funkar ki soorat

Soorat meri ankho me samaye gi na koi
Nazro me basi rehti he sarkar ki soorat

Ashko ne bayaan ker hidioya raaz e tamanna
Hum soch rahe the abhi izhar ki soorat

Dil hath pe rakha he agr koi khariday
Dekho tu zara me bhi kharidar ki soorat

Wasif ko sir e dar pukara he kisi ne
Inkar ki soorat he na ikrar ki soorat

Ehbab ki soorat ho k agyaar ki soorat
Her chehray me ati he nazar yaar ki soorat
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post