Kis Mussarrat Se Pohche Thay Hum Bazm Mein
(With Such Joy I Arrived At The Gathering)Kis Musarrat Se Pohchay Thay Hum Bazm Mein, Rooh Ki Tishnagi Ko Chupa'ay Hoay
Hasrat E Deed Thi Aur Yeh Ummed Thi, Aaj Armaan Dil Ka Nikal Ja'ay Ga
Yeh Khabar He Na Thi Ke Naqaab Uth'tay He, Warq Gir Ja'ay Gi Tool Jal Ja'ay Ga
Kis Musarrat Se Pohchay Thay Hum Bazm Mein
Rooh Ki Tishnagi Ko Chupa'ay Hoay
Aaj Mil Ker Bhi Un Se Kuch Baat Ki
Ha'ay Majbooriyan Meri Halaat Ki
Kis Musarrat Se Pohchay Thay Hum Bazm Mein
Rooh Ki Tishnagi Ko Chupa'ay Hoay
Hum Baray Naaz Say Aa'ay Thay Teri Mehfil Pay
Kia Khabar Thi Lab E Izhaar Per Talay Hoon Gay
Kis Musarrat Se Pohchay Thay Hum Bazm Mein
Rooh Ki Tishnagi Ko Chupa'ay Hoay
Ga'ay Thay Hum Bhi Jigar
Ke Pochay Thay Hum Say Baaat Ho Na Saki
Kis Musarrat Se Pohchay Thay Hum Bazm Mein
Rooh Ki Tishnagi Ko Chupa'ay Hoay
Sathiya Dor Aaya Chala Bhi Gaya
Aur Hum Reh Ga'ay Jaam Tha'ay Hoay
Kiyoon Nazar Phair Li Mujh Say Mere Sanam
Kiyoon Nazar Phair Li Mujh Say Mere Sanam
Mera Dil Toor Ker Mujh Say Mo Mor Ker
Janay Walay Mujhey Aik Nazar Daikh Le
Kiyoon Nazar Phair Li Mujh Say
Kiyoon Nazar Phair Li Mujh Say
Aap Say Door Saheeh Dil Say Kahan Ja'ay Ga
Bholnay Wala Tu Mujhey Bohot Yaad Aaye Ga
Kiyoon Nazar Phair Li Mujh Say
Kiyoon Nazar Phair Li Mujh Say
Dil Tor Ke Janay Walay Dil Ki Baat Batata Ja
Ub Mei Dil Ko Kia Samjhaon Dil Ko Samjhata Ja
Kiyoon Nazar Phair Li Mujh Say
Kiyoon Nazar Phair Li Mujh Say
Kiyoon Nazar Phair Li Mujh Say Mere Sanam
Chup Ke Baithay Ho Kiyoon Dil Chura'ay Hoay
Aik Muddat Howi Tum Ko Dekha Nahi
Ik Zamana Hoa Muskura'ay Hoay
Maut Beemar E Gham Ko Atanay? Ko Hai
Choro Ub Is Kadamat Say Kia Faida
Aakhri Waqt Hai Hans Ke Rukhsat Karo
Daikho Betho Na Yoon Sir Jhuka'ay Hoay
Phool Ki Zindagi Aik Tabassum Sahi
Yeh Tabassum Bhi Her Ik Ko Milta Nahi
Hum Ko Dekho Ke Hum Hein Chaman Mein Magar
Ik Zamana Hoa Muskaraye Hoay
Shama Bhujnay Ko Hai Chaand Chupne Ko Hai
Raat Dhalnay Ko Hai Din Nikalne Ko Hai
Ub To Aaja Sanam Kab Say Baithay Hein Hum
Apni Palkoon Pe Taray Saja'ay Hoay
Ub To Aaja Sanam Aaja
Daikha Nahi Hai Hum Ne Bohot Din Guzar Ga'ay
Ub To Aaja Sanam Aaja
Ub To Aaja Sanam Aaja
Nigahein (Karne?) Hein Udaas Baithay Hein
Tumhare Aanay Ki Dil Mein Hai Aas Baithay Hein
Ub To Aaja Sanam Aaja
Ub To Aaja Sanam Aaja
Wo Dil Ke Jiss Ko Neend Na Aaye Tamaan Raat
Deta Raha Tumhari Dohai Tamaan Raat
Sanam Aaja Sanam Aaja Ub To Aaja Sanam Aaja
Sanam Aaja Ub To Aaja Sanam Aaja
Bethe Hein Raahguzar Pay Dil Ka Dia Jalaye
Shayad Yeh Raat Beetay Shayad Tu Laut Aa'ay
Sanam Aaja Sanam Aaja Ub To Aaja Sanam Aaja
Sanam Aaja Ub To Aaja Sanam Aaja
Kiss Kis Ko Batin Gay Judai Ka Sabab Hum
Tu Mujh Say Khafa Hai Tu Zamanay Ke Liyeh Aa
Sanam Aaja Sanam Aaja Ub To Aaja Sanam Aaja
Sanam Aaja Ub To Aaja Sanam Aaja