Likh Dia Apne Dar Pe Kisi Nai

Likh Diya Apne Dar Pe Kisi Nai Lyrics


Lazatay Intazar Lata Hon
Youn Shab-e-Ghum Guzar Lata hon
Jab Bhi Dasti Hai mujha Ko Tanhai
Naam Tera Pukar Lata Hon

Koi Hansay Tu Tujhe Ghum Lage Hansi Na Lage
Kay Dil Lagi Bhi Tere Dil Ko Dil Lagi Na Lage
Tu Roz Roya Kare Outh K Chaand Raato Main
Khuda Kare Tera Merey Begar Ji Na Lage

Kya Meri Baat Ka Yakeen Nahi
Koi bhi Aap Sa Haseen Nahi
Ba Jee-Jhak Dil Main Tum Chalay Aow
Is Makam Main Koi Makiem Nahi

Aap Ayain Gharib Khanay Per
Sach Tou Yeh Hai Mujhay Yakeen nahi 
Aap kay Rou Yasmeen Ke Qasam
Chand Bhi Is Qadar Haseen Nahi

Veern-e-ya Guma Ko Akidaat Sa Sainch Kar
Shadab-e-Hayat Ka Sama Bana Diya
Duniya Tera Wajoud Ko Karti Rahi Talash
Hum Na Teray Khayal Ko Yazda Bana Diya

Husn Wale Wafa Nahi Karte
Ishq Wale Daga Nahi Karte
Zulm Karna To Inki Aadat Hai
Yeh Kisi Ka Bhala Nahi Karte

Likh Diya Apne Dar Pe Kisi Nai Lyrics
Is Jagah Pyaar Karna Manaa Hai
Pyaar Agar Ho Bhi Jaaye Kisi Ko
Iska Izhaar Karna Manaa Hai

Unki Mahfil Mei Jab Koi Jaaye
Pehle Nazrein Woh Apni Jhukaye
Wo Sanam Jo Khuda Ban Gaye Hai
Unka Deedaar Karna Manaa Hai

Jaag Uthein Gay To Aahein Bharein Gay
Husn Waalon Ko Ruswaa Karein Gay
So Gaye Hain Jo Furqat Ke Maare
Unko Bedaar Karna Manaa Hai

Hum Nai Ki Arz Ay Banda Parwar
Kiyoon Sitam Dhaa Rahay Ho Yeh Hum Per
Baat Sun Ker Hamari Woh Bolay
Hum Say Taqraar Karna Mana Hai

Saamnay Jo Khula Hai Jharoka
Kha Na Jaana Qateel Kahin Unka Dhoka
Ub Bhi Apnay Liyeh Us Galee Mein
Shouq-e-Deedaar Karna Manaa Hai

Likh Dia Apne Dar Pe Kisi Nai
Is Jaga Pyar Karna Mana Hai...!!
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post