mast mazron se Allah bachae

umr jalwon mein basar ho yeh zarori to nahi
her shab e gham ki sahr ho yeh zarori to nahi
neend to dard ke bistar pe bhi aa sakti hai
unki aaghosh mein sir ho yeh zarori to nahi

aag ko khail patangon ne samajh rakh hai
sub ko anjaam ka dar ho yeh zarori to nahi
shaikh karta hai jo masjid mein khuda ko sajde
iske sajdoon mein asar ho yeh zarori to nahi

sub ki saqi pe nazar ho yeh zarori hai magar
sub pe saqi ki nazar ho yeh zarori to nahi

koi dil mein liyeh armaan chala jata hai
koi khoye hoay ausan chala jata hai
husn walo se yeh kehdo ke na nikle bahir
dekhne walo ka eeman chala jata hai

mast mazron se Allah bachae
maahjamalon se Allah bachae

mast mazron se Allah bachae
maahjamalon se Allah bachae
her bala sir peh aa jaye laikin
husn waloon se Allah bachae

inki maasomiat per na jana
inke dhokay mein hargiz na aana
loot laitay hein yeah muskara ker
inki chaalon se Allah bachae

bholi surat hai baatein hein bholi
mou mein kuch hai magar dil mein kuch hai
laakh chehra saheeh chaand jaisa
dil ke taalon se Allah bachae

dil mein hai khuwahish-e-hoor-o-jannat
aur zahir mein shouq-e-ibadat
bus hamein shaikh ji aap jaise
Allah waloon se Allah bachae

mast mazron se Allah bachae
maah jamaloon se Allah bachae
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post