Bhool jao me zamane ka gila ae saqi
Haan pila or pila or pila ae saqi
Bandh kuch aisi mohabbat ki hawa ae saqi
Phir badal jaye zamane ki faza ae saqi
Khanakte jaam ka muhtaj me ni saqi
Teri nigah salamat mujhe kami kya he
Mere saqi ye tamasha tere mae khanay ka
Jhoom ker ayi he bad mast ghata ae saqi
Tishna nakami ka na reh jaye gila ae saqi
Jaam per jaam diye ja tere mae khanay ki khair
Saqi teri ho khair tere mae kaday ki khair
Gila nai jo guraizaan hain chand paimany
Teri nigah salamat hazar mae khanay
Sari mehfil ko nasha ek hi paimany ka
Ab kisi tor se qabo me ni aane ka
Falak dekhay gi tamasha tere deewane ka
Baat kehta he kuch aisi k na samjhe koi
Ye b ik gor talab rang he deewane ka
Chashm e saqi he udhar or mera dil he idhar
Aaj takrao he paimany se paimany ka
Baat be baat utha deta ik chair nayi
Par gaya he use chaska mujhe tarpane ka
Wo bahar ayi naseer or wo uthe badal
Ji chahta he aaj koi aisi pila de jo mast bana de
Baat saagar ki bhale ziker ho paimany ka
Mere saqi ye tamasha tere mae khanay ka..!!