Na tu bout Kada ki talab mujhe

Na tu bout Kada ki talab mujhe
Na Haram k daar ki talash hai
Jahan lout gaya hai sakoon-e-dil
Us raah guzar ki talash hai

Tu Haram ma jis ko hai dhondta
Mujhe Bout kada ma wo mil gaya
Tujhe kya malal he Zahidan
Yeh nazar nazar ki talash he

Mujhe sab qabool falak magar
Ghum-e-dost mujh se talab na ker
Ise kesa dil say juda karo
Meri umar bhar ki talash hai

Aya tabib choori yun hi mujhe
Main mariz-e-ishq ho la jawab
Ishq ki choot ka kuch dil pe asar ho tu sahi
Dard kam ho ya zada magr ho tu sahi

Majno nazar ati he Laila nazar aata hai
Wehshat me her naqsha ulta nazar aata hai
Wadi-e-najad se phir ker jo hawa aati hai
Qais k rone ki ab tak ye sada aati he

Kaabay bhi gaye hum na gaya per Buto ka ishq
Is roog ki Khuda ka bhi ghar ma dawa nahi
Kafir-e-ishq huwe Hamd-o-Sana bhool gaye
Naam-e-bout yaad raha Naam-e-Khuda bhool gaye

Naaz-o-andaz se kehte hain k jina ho ga
Zehar dete hain tu kehte hain k pina ho ga
Jab me pita ho tu kehte hain k marna b ni de
Jab me marta ho tu kehte hain k jina ho ga

ishq de mahakmay me gaya ek din
Aago ishq ne meri baryai thag layi
Ma gaya si ishq tu daad lene
Aago ishq ne meri barayi thag layi

Is ishq ne bare bare thag laye
Karobar Shadi Badshahi thag layi
Ta ki thagya aashiq zahra
Is ishq ne khuda di khudai thag layi

Aya tabib choori yun hi mujhe
Main mariz-e-ishq ho la jawab
Mujhe jis ne dard ataa kiya
Us charagar ki talash hai

Na tu bout Kada ki talab mujhe
Na Haram k daar ki talash hai..!!
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post