Un kay daar pe pohanchne

Un Ke Dar Pe Pohnchey To Paye 

Khiza ke dor main ahd-e-bahar leta ho
Koi bhi waqt ho hans kar ghuzaar leta ho
Gulo se rang sitaaro se roshni le kar
Jamal-e-yar ka naqsha utaar leta ho

Main fasane talaash karta ho
Aap unwaan dhond kar lai
Aaao bada-kasho ki basti se
Chand insaan dhond kar laye

Yea jo dewnay sa dou chaar nazar atay hain
In main kuch Shaib-e-Asrar nazar atay hain
Teri mehfil ka bharum rakhtay hain sou jatay hain
Warna yea log tou bedar nazar attay hain

Meray daman main tou kantoon ka siwa kuch bhi nahi
App phoolon ka kharidar nazar attay hain
Hashar main kon Ghawhe meri dega Sagir
Sab tumharay he tarf daar nazar attay hain

Aaj rothe hue saajna ko bhut yaad kya
Apne ujre hue gulshan ko bhut yaad kya
Jub kabhi gardish-e-taqdeer ne ghera hain hame
Geso-e-yaar ki uljhan ko bhut yaad kya

Aaj tote hue sapno ki bhut yaad aaye
Aaj bete hue sawaan ko bhut yaad kya
Shama ki jot pe jalte hue parwaano ne
Ek tere shola-e-daaman ko bhut yaad kya

Aye dil-e-beqaraar chup hoja
Ja chuki hain bahar chup hoja
Ab na aye ge rothne waale
Deeda-e-ashkbaar chup hoja

Choot jati hian phool se khusbo
Rooth jate hain yaar chup hoja
Hum faqeero ka is zaamane main
Kon hain gum gusaar chup hoja

Geet ki zarb se bhi aaye sagir
Toot jate hain taar chup hoja
Yun bazm-e-zindagi main ujaala kare ge hum
Tum ko bithaa ke saamne sajda kare ge hum

Un kay daar pe pohon ne to Paya
Yea na Pocho ka hum kya karay gay
Sar jhukana agar jurum hoga
Hum nighon say sajda karay gain

Baat bhi teri rakhni hai sakhi
Zarf ko bhi na rous-wa karay gay
Jaam da ya na da ajj hum ko
Miankhda main saavera karay gay

Iss taraf apna daman jalay gaa
Os taraf un ke mehfil sajjay ge
Hum andheray ko ghar main boula kar
On ka ghar main ujala karay gay

Hum ko jhooti tasli na de jiya
Ghum main ab aur izafa na ke jiya
Jiss say ankhon main ajjay ansu
Wo khushi lakay hum kya karay gay

Raag

Doston ki shikayat karoon main
Yeah bhi mujh ko gawara nahi hai
Doston ne karam woh kiyeah hain
Zindagi ki tamanna nahi hai

Sooch ker bewafa mujh ko kahiyeah
Dhul na jaay bharam ap ka hee
Aazmaya hai duniya ko main nay
Aap ne mujh ko parkha nahi hai

Ho mubarik tumahin saar juhkana
Phir bhi itni guzarish karoon ga
Dil jhukana bhi lazim hain Zahid
Sar jhukana he sajda nahi hai

Ho ke betaab mayyat pe meri....

Mayyat pa meri aya hain kya inqalab hai
Wo benaqaab hain meray mou pa naqaab hai
Kafan mein khudh ko chupa lia hai
Ke tujh ko parday ki ho na zehmat

Ho ke betaab mayyat pe meri
Tum yeh kiyoon benaqaab aa gaye ho
Umar bhar jiss say pardah kiya tha
Aaj kiyoon us say pardah nahi hai

Aap hoon gay wafaoon ke Maail
Aik din yeh haqiqat hai laikin
Aap ka to bharosa hai mujh ko
Zindagi ka bharoosa nahi hai

Zid na ker aaj to ghoont pe lay
Zindagi chaar din ke hai pe lay
Mohtasib apni qismat bana lay
Maikada hai yeh Kaaba nahi hai

O Husne jana aray tauba tauba....

Shabaab aaya Kisi Bout per fida honay ka waqt aaya
Meri dunya main banday k Khuda honay ka waqt aaya
Unhein dekha to zahid nai kaha, iman ki yeah hai
Kay ub insaan woh sajda rawa honay ka waqt aaya

Husne jana aray tauba tauba
Jab Nighain outhi jhouk gai hain
Barha un ko dekha hai main nay
Phir bhi jee bhar kay dekha nahi hai

Un kay daar pe pohanchne to Paya
Yea na Pocho ka hum kya karay gay....!!

1 Comments

  1. could u translate the meanings of all this.
    It would be very helpful

    ReplyDelete
Post a Comment
Previous Post Next Post