Hai Kahan Ka Irada Tumhara Sanam

Aaj ki Baat Phir Nahi Hogi Ye Mulakat Phir Nahi Hogi

Aise Badal To Phir Bhi Aayenge, Aisi Barsaat Phir Nahi Hogi
Raat Unko Bhi Hua Yun Mehsoos, Jaise Yeh Raat Phir Nahi Hogi

Ik Nazar Mud Ke Dekhne Waale, Kya Yeh Khairat Nahi Hogi
Shab-E-Gham Ki Sahar Nahi Hoti, Ho Bhi To Mere Ghar Nahin Hoti
Zindagi Tu Hi Mukhtasar Ho Jaa, Shab-E-Gham Mukhtasar Nahi Hoti

Raaz Daron Se Bach Ke Chalta Hun, Gham Guzaar Se Bachke Chalta Hun
Mujhko Dhoka Diya Saharon Ne, Ab Saharon Se Bach Ke Chalta Hun

Maine Masoom Bahaaron Mein Tumhein Dekha Hai
Maine Purnoor Sitaron Mein Tumhein Dekha Hai
Mere Mehboob teri Pardanasheeni Ki Qasam
Maine Ashqon Ki Qataaron Mein Tumhein Dekha Hai

Hum Buton Se Jo Pyaar Karte Hain, Naql-E-Parvardigaar Karte Hain
Itni Qasmein Na Khaao Ghabrakar Jaao Hum Aitbaar Karte Hain
Ab Bhi Aa Jaao Kuch Nahin Bigda Ab Bhi Hum Itnezaar Karte Hain
Saaz-E-Hasti Baja Raha Hun Main, Jashn-E-Masti Mana Raha Hun Main

Kya Ada Hai Nisaar Hone Ki, Unse Pehlu Bacha Raha Hun Main
Kitni Pukhta Hai Meri Naadaani, Tujhko Tujhse Chhupa Raha Hun Main
Dil Dabota Hun Chashm-E-Saaqi Mein, Mai Ko Mai Mein Mila Raha Hun Main

Na Hum Samjhe Na Tum Aaye Kahin Se, Paseena Poochiye Apni Jabeen Se

Hai Kahan Ka Irada Tumhara Sanam, Kiske Dil Ko Adaaon Se Bhulaoge
Sach Batao Ke Is Chandni Raat Mein, Kis Se Wada Kiya Hai Kahaan Jaaoge

Dekho Achha Nahin Hai Tumhara Chalan,  Yeh Jawani Ke Din Aur Yeh Shokhiyaan
Yun Na Aaya Karo Baal Khole Huye, Warna Duniya Mein Badnaam Ho Jaaoge

Aaj Jaao Na Bechain Karke Mujhe Jaan-E-Jaan Dil Dukhana Buri Baat Hai

( Zulf Rukh Se Hata Ke Baat Karo, Raat Ko Din Bana Ke Baat Karo
Maikade Ke Charaagh Madhham Hain Zara Aankhen Uttha Ke Baat Karo
Phool Kuch Chahiye Huzoor Hamein, Tum Zara Muskura Ke Baat Karo
Yeh Bhi Andaaz-E-Guftagu Hai Koi, Jab Karo Dil Dukha Ke Baat Karo )

Hum Tadapte Rahenge Yahaan Raat Bhar, Tum To Aaram Ki Neend So Jaaoge

Paas Aao To Tumko Lagayein Gale, Muskurate Ho Kyun Duur Se Dekh Kar
Yunhi Guzre Agar Yeh Jawani Ke Din, Hum Bhi Pachhtayenge Tum Bhi Pachhtaoge

Bewafa Bemurawwat Hai Unki Nazar, Yeh Badal Jaayenge Zindagi Loot Kar
Husn Walon Se Dil Ko Lagaaya Agar, Aye ‘Fanaa’ Dekho Bemaut Mar Jaaoge

1 Comments

Post a Comment
Previous Post Next Post