Na Rukte Hain Aansoo Nusrat Fateh Ali Khan

Na Rukte Hain Aansu, Na Thamte Hain Naale

Muhabbat ko koi manzil nahi hai,

Muhabbat mauj hai, saahil nahi hai.

Meri afsurdagi pe hasne wale,

Tere pehlu mein shaya dil nahi hai.

Sad love song lyrics

Na rukte hain aansu, na thamte hain naale,

Koi unse jaake bas itna keh de:

Qaseed payam-e-khat ko dena bahut na tu,

Bas mukhtasir yeh kehna na rukte hain aansu.

Emotional poetry lyrics

Na rukte hain aansu, na thamte hain naale,

Kaho koi kaise muhabbat chhupa le.

Kare kya koi wo jab aayein yakayak,

Nigahon ko rokein ya dil ko sambhalein?

Romantic song lyrics

Chaman wale bijli se bole na chaale,

Gharibon ke ghar bekhata phoonk daale.

Qayamat hain zaalim ki neechi nigahein,

Khuda jaane kya ho jo nazrein utha le.

Verse 

Karun aisa sajda wo ghabra ke keh dein,

Khuda ke liye ab toh sar ko utha le.

Tumhein bandaparwar ham hi jaante hain,

Kabhi humse, kabhi gairon se shanasayi hai.

Heartfelt Urdu poetry

Baat kehne ki nahi tu bhi toh harjayi hai,

Har ek baat pe kehte ho tum ke tu kya hai.

Tumhi batao ye andaz-e-guftagu kya hai,

Tumhein bandaparwar ham hi jaante hain,

Bade sidhe sadhe, bade bhole bhale.

Poetry lyrics

Bas itni si doori, yeh main hun, ye manzil,

Kahan aake phoote hain paaon ke chchaale.

‘Qamar’ main hun mukhtaar tanzeem-e-shab ka,

Hain mere hi bas mein andhere ujaale. 

Na Rukte Hain Ansoo Ustaad Nusrat Fateh Ali Khan complete full version 

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post