Ulfat Ka Nishan Dil Se Mitaya Nahi Jata
Ulfat Ka Nishaan Dil Se Mitaya Nahi Jata Nusrat Fateh Ali Khan Best Ghazal Lyrics
Tulu E Subah Tere Rukh Ki Baat Hone Lagi Tumhari Zulf Jo Bikhri To Raat Hone lagi Tumhari Mast Nazar Ka Khumar Kya Kehna Nashe Mein Garq Sabhi Qayanaat Hone Lagi Sar Jis Pe Na Jhuk Jaaye Use Dar Nahi Kehte Har Dar Pe Jo Jhuk Jaaye Use Sar Nahi Kehte Kya Tujhko Jahan Wale Sitamgar Nahi Kehte Kehte To Hain Lekin Tere Mu Par Nahi Kehte Kabhi Mein Har Ek Sajde Ko Kehte Hain Ibaadat Maikhaane Mein Har Ek Jaam Ko Saagar Nahi Kehte kabhi Mein Musalmaan Ko Bhi Keh Dete Hain Kaafir maikhaane mein kaafir ko bhi kaafir nahi kehte achhi soorat ko sanwarne ki zaroorat ka kya hai saadgi mein bhi kayaamat ki ada hoti hai tum jo aate ho masjid mein ada karne namaaz tumko maaloom hai kitno ki kaza hoti hai ulfat ka nishan dil se mitaya nahi jata us bhoolne wale ko bhulaya nahi jata sar gair ki chaukhat pe jhukaaya nahi jaata mujh se toh khuda aur banaaya nahi jaata ab umr judaayi mein tadap ke hi kategi roothe hain wo aise ki manaaya nahi jaata yeh kaisi muhabbat hai phase margh bhi tumse ik phool bhi qurbat pe chadhaaya nahi jaata ham par hi lagaate ho sada ishq ki tohmat ilzaam raqeebon pe lagaaya nahi jaata yeh souz e muhabbat hai na to ashq ke chheetein is aag ko paani se bujhaaya nahi jaata le jaayein kahan zakhm e judaayi ko fana hum yeh phool kisi dar pe sajaaya nahi jaata