Aaj Yun Mauj-Dar-Mauj Tham Tham Gaya Lyrics
Faiz Ahmed Faiz poetry
Aaj yun mauj-dar-mauj gham tham gaya,
Is tarah gham-zadon ko qarar aa gaya.
Jaise khush-bu-e-zulf-e-bahaar aa gai,
Jaise paigham-e-didar-e-yar aa gaya.
Jis ki did-o-talab wahm samjhe the hum,
Ru-ba-ru phir sar-e-rahguzar aa gaya.
Subh-e-farda ko phir dil tarasne laga,
Umr-e-rafta tera e'tibar aa gaya.
Rut badalne lagi rang-e-dil dekhna,
Rang-e-gulshan se ab haal khulta nahin.
Zakhm chhalka koi ya koi gul khila,
Ashk umde ki abr-e-bahaar aa gaya.
Khun-e-ushshaq se jam bharne lage,
Dil sulagne lage dagh jalne lage.
Mahfil-e-dard phir rang par aa gai,
Phir shab-e-arzu par nikhaar aa gaya.
Sarfaroshi ke andaz badle gae,
Dawat-e-qatil par maqtal-e-shahr mein.
Dal kar koi gardan mein tauq aa gaya,
Lad kar koi kandhe pe dar aa gaya.
'Faiz' kya jaaniye yar kis aas par,
Muntazir hain ki laega koi khabar.
Mai-kashon par hua mohtasib mehrban,
Dil-figaron pe qatil ko pyar aa gaya.