Barsoon Kay Intizaar Ka Anjaam Likh Dia
Kaaghaz Pay Shaam Kaat Kay Phir Shaam Likh Dia
Bikhri Pari Thi Toot Kay Kaliyaan Zameen Per
Tarteeb Day Kay Mein Nai Tera Naam Likh Dia
Aasan Nahi Thi Tark-E-Mohabbat Ki Dastaan
Jo Aanso'on Nay Aakhri Paighaam Likh Dia
Hum Ko Kisi Kay Husn Nay Sha'ir Bana Dia
Hontoon Ka Naam Lay Na Sakay Jaam Likh Dia
Allah! Zindagi Say Kahan Tak Nibhaoon Mein
Kiss Bewafa Kay Saath Mera Naam Likh Dia
Taqseem Ho Rahi Thi Khudai Ki Naimatein
Ik Ishq Bach Gaya So Mere Naam Likh Dia
Qaiser Kisi Ki Dain Hai Yeh Shairi Meri
Iski Ghazal Pay Jiss May Mera Naam Likh Dia
Barsoon Kay Intizaar Ka Anjaam Likh Dia...
(Anjaam = Conclusion)
(Tark-E-Mohabbat = To Give Up Love)
(Paigham = Message)