Bewafa se bhi pyaar hota hai

Udasiyan saath jo na latey to aur kya kerte
Na Jashn-e-Shola manaate to aur kya kerte

Andhera mangne aaya tha roshni ki bheek
Hum apna ghar na jalaate tou aur kya kerte

Mein ne masoom baharon mein tumhein dekha hai
In haseen Raah-Guzaaron mein tumhein dekha hai

Mere mehboob teri Parda-Nashini ki qasam
Mein ne ashkon ki qataron mein tumhein dekha hai

Jab bhi Rudaad-e-Gham sunate hein
Ashq palkon pe muskurate hein

Jin ki khaatir luta diya sub kuch
Wohi mera nishaan mita'te hein

Beewafa se bhi pyaar hota hai

Qismat mein naumeedi-o-hasrat hai kya karoon
Us bewafa se mujh ko mohabbat hai kya karoon... Acha

Beewafa se bhi pyaar hota hai

Yakeen-e-Ishq to dekho ke us ke wadoon per
Faraib khaye bohot phir bhi Aitebar kiya... Acha

Beewafa se bhi pyaar hota hai

Main jiss ke aik isharay pe jaan waar aaya
Usay na meri mohabbat ka Aitebar aaya... Acha

Beewafa se bhi pyaar hota hai

Main ker raha tha faqt tajurba mohabbat ka
Ab aise aag lagi hai bujha nahi sakta

Yeh maanta hoon ke mein tujh ko paa nahi satka
Tera khayal magar dil se ja nahi sakta... Acha

Beewafa se bhi pyaar hota hai

Zulf rukh se hata ke baat karo
Raat ko din banaa ke baat karo

Yeh bhi Andaaz-e-Guftugu hai koi
Jab bhi karo dil dukha ke baat karo... Acha

Beewafa se bhi pyaar hota hai

Her aik baat pe kehte ho tum ke tu kya hai
Tumhe batao yeh Andaz-e-Auftugu kya hai

Bewafa se bhi pyaar hota hai
Yaar kuch bhi ho yaar hota hai

Raag...

Na sahay teri naseehat mere kiss kaam aaye hai
Naik o bad sujat nahi jab dil kaheen lag gaye hai... kiyoon ke

Yaar kuch bhi ho yaar hota hai

Hazrat e nah se jo aaye Deeda-o-Dil Farsh-e-Raah
Yeh to samjhao koi woh aake samjhaein ge kya... kiyoon ke

Yaar kuch bhi ho yaar hota hai

Marne walay to apni jaan se kahein
Yaar ki bewafaiyan na gayeen

Yaar kuch bhi ho yaar hota hai

Kya howa un ke saath gar hai raqeeb
Phool ke saath khaar hota hai

Ishq ke qaynaat main Nasay
Ishq Parwardigar hota hai

Ishq Parwardigar hota hai

Ayina Outha laya aur Akas sa youn bolay ka dekho
Ishq Parwardigar hota hai

Kyun Bhala dost say na Khatay bhalay
Dost per aitabar hota hai

Dost per aitabar hota hai

Jab woh aate nahi shab e waada
Mout ka intizaar hota hai

Mout ka intizaar hota hai

Ishq pe zindagi ka aay Purnam
Sara daromadaar hota hai

Bewafa se bhi pyaar hota hai
Bewafa se bhi pyaar hota hai... Aaa!
 W2EQXMKF8CCS
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post