Saqi Ki Har Nigah Peh Bal Kha Ke Pee Gaya
Lehroon Say Khailta Hoa Lehra Ke Pee Gaya
Lahara Jhoom, Jhoom Ka La, Muskra Ka La
Phoolon Ka Raas Main Chaand ke Kirnian Mila Ka La
Kyun Jaa Rahi Hai Rout Ka Raangeen-e-Bahar
Jaa Ek Martba Isay Phir Wargala Ka Laa
Kahtain Hai Umer-e-Rafta Kabhi Lout Ti Nahi
Ja Mainkda Sa Meri Jawani Outha Ka La
Yea Jo Dewnay Sa Dou Chaar Nazar Attay Hain
In Main Kuch Shaib-e-Asrar Nazar Attay Hain
Teri Mehfil Ka Bharum Rakhtay Hain Sou Jatay Hain
Warna Yea Log Tou Bedar Nazar Attay Hain
Meray Daman Main Tou Kantoon Ka Siwa Kuch Bhi Nahi
App Phoolon Kay Kharidar Nazar Attay Hain
Kal Jinha Choou Nahi Sakti Thi Farshton Ke Nazar
Aaj Wo Rounake-e-Bazar Nazar Attay Hain
Hashar Main Kon Ghawhe Meri Dega Sagir
Sab Tumharay He Tarf Daar Nazar Attay Hain
Ker Rahi Hai Dar Haqiqat Kaam Saqi Ki Nazar
Maikade Mei Gardishein Bara'ay Naam Hai
Phiroon Dhoodtha Maikada Tauba Tauba
Mujhay Aaj Kal Itni Fursat Nahi Hai
Salamat Rahe Teri Aankhon Ki Masti
Mujhe Mekashi Ki Zarorat Nahi Hai
Na Garaz Mujha Haram Sa Na Khaya-e-Mainkda Hai
Meri Zindagi Hai Tum Sa Mujha Tum Sa Wasta Hai
Surror Cheez Kiyoon Mikdaar Per Nahi Moqoof
Ye Muskarti Hoi Cheez Muskra Ka Pila
Surror Cheez Kiyoon Mikdaar Per Nahi Moqoof
Sharaab Kam Hai To Saaqi Nazar Mila K Pila
Jaam Per Jaam Peene Say Kya Faida
Subho Tak Ya To Saari Utar Jaye Gi
Teri Nazroon Say Pe Hai Khuda Ki Qasam
Umr Saari Nashe Mein Guzar Jaye Gi
Khanakte Jaam Ka Mohtaaj Mein Nahi Saaqi
Teri Nigaah Salamat Mujhay Kami Kya Hai
Dil Us Ka Namazi Bun Jaye, Aankh Us Ki Gulabi Ho Jaye
Tu Jiss Ko Mohabbat Say Daikhe, Saqi Wo Sharabi Ho Jaye
Salamat Rahe Teri Aankhon Ki Masti
Mujhe Mekashi Ki Zarorat Nahi Hai
Yeh Tark E Talluq Ka Kya Tazkara Hai
Tumhare Siva Koi Apna Nahi Hai
Agar Tum Kaho To Mein Khud Ko Bhula Doon
Tumhein Bhool Janay Ki Taaqat Nahi Hai
Her Ik Mour Per Ik Nayi Baat Khaae
Rahi Dil Ki Dil Mein Zabaan Tak Na Aayi
Kiyeh Hein Kuch Aisay Karam Doston Ne
K Ub Dushmano Ki Zarorat Nahi Hai
Hazaaron Tammanaein Hoti Hein Dil Mein
Hamari To Bus Ik Tammana Yeh He Hai
Mujhay Ik Dafa Apna Keh K Pukaro
Bus Is K Siva Koi Hasrat Nahi Hai
Phiroon Dhondta Maikada Tauba Tauba
Mujhay Aaj Kal Itni Fursat Nahi Hai...!!