Naghma-e-Salle Ala Vird-e-Zuban Rehta Hai
Har Ghadi Samne Rehmat Ka Samaan Rehta Hai
Lab Pe Jab Sayyed-e-Alam Ki Sana Aati Hai
Ghir Ke Har Simt Se Rehmat Ki Ghata Aati Hai
Lab Pe Sarkar Ka Jo Naam Aaya
Dil-e-Betaab Ko Aaram Aaya, Dekho
Lab Pe Jab Sayyed-e-Alam Ki Sana Aati Hai
Aaya Labon Pe Jo Zikr Khairul Anam Ka
Wah Wah Hua Buland Darood--o-Salam Ka
Lab Pe Jab Sayyed-e-Alam Ki Sana Aati Hai
Mujh Par Nisar Hone Lagi Mastian Tamam
Mein Zikr Kar Raha Tha Muhammad Ke Naam Ka
Lab Pe Jab Sayyed-e-Alam Ki Sana Aati Hai
Sukhan Ko Rutba Mila Hai Meri Zuban Ke Liye
Zuban Mili Hai Mujhe Naat Ke Bayaan Ke Liye
Lab Pe Jab Sayyed-e-Alam Ki Sana Aati Hai
Apne Daman Mein Liye Shehr-e-Nabi Ki Kushboo
Naaz Karti Hui Taiba Se Hawa Aati Hai
Unka Jo Kaul Hai Ejaz Hai Subhanallah
Unki Yaadon Se Mujhe Yaad-e-Khuda Aati Hai
Jab Nazar Uthti Hai Sarkar Ke Roze Ki Taraf
De Dhak Dil Ke Dharkne Ki Sana Aati Hai
Yeh Karam Unka Hai Yeh Unki Ki Ata Hai, Warna
Kis Ko Tauseef-e-Paighambar Ki Ata Aati Hai
Lab Pe Jab Sayyed-e-Alam Ki Sana Aati Hai